Jo Tu Ho || Hindi Shayari | Best Hindi shayari | Read Best Shayari in Hindi‎

Jo Tu Ho


Jo tu chaand hai noorani sa,
Me parchaai hu teri,
Jo tu behta ho dariya sa,
Me sahil ki tanhai hu...
Jo me dua kru khuda se teri,
Bina mange jane wali murad hu me....

Jo tu hai masoomiyat bachpan ki
Me muskurahat hu us chehre ki
Jo me sajda karu tera,
Me wo chaukhat hu,
jo madeena ban jaye....

Jo tu ho ikraar e ishq
mukammal e mohabbat hu me....

- Anil K Arora

Baarish || Hindi Shayari | Best Hindi shayari | Read Best Shayari in Hindi‎

Baarish


Shehar me baarish ka hona kuchh khaas sa ho jata hai,
tu na sahi, teri yaad ka aana zaroori sa ho jata hai...

boonde to baarish ki bhi taras rahi hogi wo chai ki khushboo ko,
es shaam ka tere bina pura hona majboori sa ho jata hai....

Taqaat kaho use ek tarfa pyaar ki ya keh do deewanapan,
ya yuh kaho asar tha ishq ka,
jo puri duniya ka 'ya to pagal' 'ya to shayar' banna zaroori sa ho jata hai....

Shehar me baarish ka hona kuchh khaas sa ho jata hai...
- Anil K. Arora

Tere Bagair || Shayari in Hindi (शायरी), Love Shayari in Hindi, लव शायरी, Romantic Shayari ||

Tere Begair

Me aaj bhi wo Ghazal likhne ki koshish kar raha hu,
jo tere zikar ke begair mukammal ho jaaye.....
 Me aaj bhi wo rasta khoj raha hu, 
jo tere sath na hone par bhi mujhe manzil tak le jaaye...

Log bohot hain bheed  me zamane ki,
par jo tujhsa lage, aaj bhi wo chehra dhoond raha hu...
Lafz to boht hain mere paas,
par jisme teri tasveer na nazar aaye wo kitaab dhoond raha hu....

Salahaye (advice) to boht dete hain log aksar,
jo teri yaado se dur kar ke mujhe mujhse milaaye, esi tazweez khoj raha hun...
Din to kat jaya karta hai aksar mera,
tere begair kat jaaye esi shaam ka intezar kar rha hun...

Me aaj bhi wo Ghazal likhne ki koshish kar raha hu,
jo tere zikar ke begair mukammal ho jaaye.....

- Anil K. Arora

Tere Bagair || Shayari in Hindi (शायरी), Love Shayari in Hindi, लव शायरी, Romantic Shayari ||

Tere Begair Me aaj bhi wo Ghazal likhne ki koshish kar raha hu, jo tere zikar ke begair mukammal ho jaaye.....  Me aaj bhi wo rasta ...