Tum tum si kam, mujh si zyada hone lagi ho.
Tum tum si kam, mujh si zyada hone lagi ho.me to tha hi laparwah, ab tum bhi kuchh esi hone lagi ho.
mujhse zyada tum mujhe chahti ti, ab kuchh bhul sa jaane lagi ho.
tum tum si kam, mujh si zyada hone lagi ho....
Ek waqt tha,
saare jahan ki baate mujhe sunaya karti thi,
ab to tera din kesa tha, ye bhi chhupaane lagi ho.
Jo agan dil me hua krti thi tere, mujhe paane ki
ab wo aag bujhaane lagi ho.
tum tum si kam, mujh si zyada hone lagi ho....
Mohabbat to aaj bhi karti hai mujhse, kyu isse dil me dafnane lagi ho.
galtiyo to pehle bhi hazaro krta tha me, kyu is baat ko bhul jaane lagi ho.
wajood meri chahat ka aaj bhi hai tu, kyu es wajood ko mitaane lagi ho.
tum tum si kam, mujh si zyada hone lagi ho....
Aaj bhi mohabbat hai, ishq hai tujhse.
aaj bhi tere liye duniya badalne ko tayar hai hum.
par tu to mujhsi na ho khud si ho ja...
ishq e ibaadat, izhar e mohabbat, maan bhi jao mera.
tu ab mujhi kam, khud si ho ja...
- Anil K Arora